Al-Quran In Urdu Translation | Best Quran's Urdu Translation | Quran With Urdu Translate 2017 | Beautiful Quranic Pictures And Wallpapers | Most Beautiful Quran In Urdu Translation
Aor Subha O Sham Apny Rub Ky Nam Ka Zikr Kia Karein, Aor Raat Ki Kuch Gharyan Is
Ky Hazoor Sajda O Rezi Kia Karein Aor Raat Ky (Baqya) Taweel Hissa Main Us Ki
Tassbeh Kia Karein, Beshak Ye (Taliban e Dunya) Jald Milny Waly Mafaad Ko
Aziz Rakhty Hain Aor Sakht Bhari Din (Ki Yaad) Ko
Apny Pass E Pussht Chory Hoy Hain,
(Al-Quran : 76:25,26,27)
So Aap Bhi Kisi Yateem Par Sakhti Na Farmaein Aor (Apny Dar Ky) Kisi
Mangty Ko Na Jhirkein Aor Apny Rub Ki Nehmton Ka (Khoob)
Tazkira Karein.
(Al-Quran : 93:09,10,11 )
Jo Shakhs Dunya (Ki Assodghi) Ka Khuaeishmand Ho To Hum Us Main Se
Jissy Chahty Hain Aor Jitna Chahty Hain Jaid Dety Hain. Pher Us Ky Ley
Jhanum Ko(Thikana) Muqarr Kar Rakha Hai. Jis Main Wo Nafreen Sun Kr
Aor (Darghah Khuda Se) Randa Ho Kar Dakhil Ho Ga.
(Al-Quran : 17:18 )
Beshak Jo Log ALLAH Ky Aehed Aor Apni Qasmoon Ka Thori Si Qeemat Ky Ewazz
Soda Kar Dety Hain.Yehi Wo Log Hai Jin Ky Ley Akhirat Main Koi Hissa Nahi Aor
Na Qayyamat Ky Din ALLAH Un Se Kalaam Farmaye Ga Aor Na He Un Ki Taraf Nigha
Farmaaye Ga Aor Na Unhain Pakezghi De Ga Aor Un Ky Ley
Dadnaak Hazzab Ho Ga,
(Al-Quran :03:77)
Keh Do Tum (Khuda Ko) ALLAH (Ky Nam Se) Pukaro Ya Rehman (Ky Nam Se)
Jis Nam Se Pukaro Us Ky Sub Achy Nam Hain.Aor Nimaaz Na Buland Awaaz
Se Parho Na Aiesta Bal-K Us Ky Beech Ka Tarika Ikhtiyar Karo.
(Al-Quran:17:110)
Haan Jo Apna Wahda Pora Kary Aor Taqwa Ikhtiyar Kary (Us Par Waqiahi Koi
Muhakhiza Nahi) So Beshak ALLAH Parheazgharoon Se Muhabbat
Farmata Hai.
(Al-Quran :03:76)
---------------------------------